Sabudana Kheer

                        SABUDANA KHEER

INGRIDIENTS:
1. MILK - 1 KG
2. SABHUDANA  - 1 KATORI ( BHIGE HUE)
3. BADAAM - 5-6 PEC
4. KAAJU - 3-4 PEC.(chopped)
5. KAISER - SWADANUSAR
6. SUGAR - SWADANUSAR
7. KISS MISS - 5-6 PEC

RECIPE:
SABUDANA health ke liye kafi accha mana gaya h ...sabudana ki kheer bohot hi jaldi  ban jaati h or khane main badi swaadisht hoti h ...chaliye to banate h sabudana kheer .....
Isko banane ke liye phle humko sabudana ko dho kar isko 2-3 ghante pani main bhigona h ( pani itna hi le ki sabudAna usme bhig jae ...)2-3ghante baad pani ko sabudana sokh leta hai or ye soft ho jaega...

Ab milk ko gas pr ek pan pr chadhaye or isko itna garm kare ki ye 1kg ki jagah 1/2kg ho jae ...tbhi aap ki kheer swaadisht banegi ...
Ab jb milk khub garam ho jae tb gas sim pr KARE or usme bhige hue sabudana , kaiser dale or chalate rhe....inko bhi kam se kam 10 min tk pakana h jb tk sabudana transparent na ho jae....
ab ismain sugar add KARE OR chalate rhiye ....
Jb aap ki kheer kafi gadi ho jae tb gas off KARE OR garam garam kheer serve KARE...



Comments

Popular Posts